Friday, March 7, 2008

"Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon "

This is a beautiful Nazm of Bahadur Shah Jafar
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Mushth-E-Ghubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Na To Main Kisi Ka Habeeb Hoon
Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hoon
Jo Bigad Chala Gaya Woh Naseeb Hoon Jo Ujad Gaya Woh Dayaar Hoon

Mera Rang Roop Bigad Gaya
Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Khizaan Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Fasl-e-Bahar Hoon

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon

Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

No comments: