Saturday, July 2, 2011

सन्नाटा

Sham ki nammi mein , kuch dhundle se akaash mein
Dhalta sa chal raha tha , roshne se pare mein
Mann mein naa thi koyi bhi jalti hui umang
Dabta jaa raha tha dhunno mein bajta ek mridang

Palko se bhojhal sa ho gaya tha woh ek sapna
Kabhi paraye bhi thee , aaj naa koyi hai apna
Uss kavi ki kalpana ki rakh ka dhua hai uth raha 
Jab bhi koyi pass aaya , dil mein ek bad-gumma sa hi raha

Naddi ki kal kal karti lehron ne jharokoo ko bhar sa diya tha
Srappit se jeevan ko uss ne ehsaano taale dab sa diya tha
Aansuyoon ko palko takke rondte hi jaa raha tha mein
Apne hi zameer mein jhank kar jhanjorta sa jaa raha tha mein 

Pyaasi dharti kar rahi thi malhar ka intezaar
Doobte chand ko phir se ek subha ki ragni par tha aitbaar
Ruh mein sakoon ki talash thee 

Jab mere samne apni hi lashe thee


Silence Prevails ,
Aditya deadpan