Tuesday, March 4, 2008

Jinhe naaz hai hind par vo kahaan hain?

This is the only song which can make me depressed anytime..really Sahir Ludhianvi is great ....!!
ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke
ye lut_te hue kaarawaan zindagii ke
kahaan hain, kahaan hain muhaafiz Khudi ke?

jinhe naaz hai hind par vo kahaan hain?

kahaan hain kahaan hain kahaan hain?

ye pur-pech galiyaaN, ye badnaam baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

ye sadiyoN se be-Khauf sahmii sii galiyaaN
ye maslee hui adh-khulee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
thaki haarii saaNsoN pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Than-Than
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye beemaar chehare
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?

zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
jinheN naaz hai hind par unako laao
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN kahaaN haiN kahaaN haiN?

Glossary:

kooche = streets
neelaamghar = auction houses
muhaafiz Khudi ke = the protectors of pride
ismat = pride, honour
takaraar = fights, arguments
zard = yellowing
be-ruuh = soul-less
peer = old, wise
tanuumand = healthy, fit
ham-jins = breed
payaMbar = prophet
ummat = race
raahbaroN = leaders

No comments: